kis ne kaha tha shahr mein aa kar aankh laDao diwaron se
kis ne kaha tha shahr mein aa kar aankh laDao diwaron se
Ram Parkash Rahi
MORE BYRam Parkash Rahi
kis ne kahā thā shahr meñ aa kar aañkh laḌāo dīvāroñ se
saaya saaya bhaTak bhaTak ab sar Takrāo dīvāroñ se
ghaat kī palkeñ jhapak rahe haiñ khul khul kar anjān darīche
zaḳhmoñ ke ab phuul sameTo patthar khaao dīvāroñ se
qat-e-nazar ke baa'd bhī aksar baḌh jaatī hai dil kī dhaḌkan
aañkh uThā.e kyā bantā hai dil hī uThāo dīvāroñ se
rastoñ kī tahzīb yahī hai daa.eñ baa.eñ chhoḌ ke chalnā
sīdhe hī ghar jaanā hai to muñh na lagāo dīvāroñ se
soch ghuTan meñ Duub na jaa.e toḌo ye sankoch ke ghere
khulī havā meñ par phailāo jaan bachāo dīvāroñ se
lams kī lazzat narmī saḳhtī donoñ kā gaDmaD rishta hai
paas hī aa kar tum samjhoge duur na jaao dīvāroñ se
ye bhī kaisī riit samay kī buniyādoñ se mehrāboñ tak
ḳhuun ke naate sab kuchh de kar kuchh bhī na paao dīvāroñ se
kis ne kaha tha shahr mein aa kar aankh laDao diwaron se
saya saya bhaTak bhaTak ab sar Takrao diwaron se
ghat ki palken jhapak rahe hain khul khul kar anjaan dariche
zaKHmon ke ab phul sameTo patthar khao diwaron se
qat-e-nazar ke ba'd bhi aksar baDh jati hai dil ki dhaDkan
aankh uThae kya banta hai dil hi uThao diwaron se
raston ki tahzib yahi hai daen baen chhoD ke chalna
sidhe hi ghar jaana hai to munh na lagao diwaron se
soch ghuTan mein Dub na jae toDo ye sankoch ke ghere
khuli hawa mein par phailao jaan bachao diwaron se
lams ki lazzat narmi saKHti donon ka gaDmaD rishta hai
pas hi aa kar tum samjhoge dur na jao diwaron se
ye bhi kaisi rit samay ki buniyaadon se mehrabon tak
KHun ke nate sab kuchh de kar kuchh bhi na pao diwaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.