kis ne paDh kar phunka mantar pani mein
kis ne paḌh kar phūñkā mantar paanī meñ
patthar ban ke Duube manzar paanī meñ
pyāsā ghaaT se lauT aayā thā pyāsā kyoñ
mujh par raaz khulā ye jā kar paanī meñ
jhiil umaD ke chāñd talak jā pahuñchī hai
kis ne pheñke itne kankar paanī meñ
merī aañkh bhī dhīre se lag jaatī hai
jab bhī soyā dekhūñ ambar paanī meñ
dekheñ ab ke kaun madad ko aatā hai
aañkh jazīre par hai langar paanī meñ
ek gharauñdā bante saarī umr lagī
mauj bahā kar le ga.ī 'aḳhtar' paanī meñ
kis ne paDh kar phunka mantar pani mein
patthar ban ke Dube manzar pani mein
pyasa ghaT se lauT aaya tha pyasa kyon
mujh par raaz khula ye ja kar pani mein
jhil umaD ke chand talak ja pahunchi hai
kis ne phenke itne kankar pani mein
meri aankh bhi dhire se lag jati hai
jab bhi soya dekhun ambar pani mein
dekhen ab ke kaun madad ko aata hai
aankh jazire par hai langar pani mein
ek gharaunda bante sari umr lagi
mauj baha kar le gai 'aKHtar' pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.