kis ne socha tha ki yun bair karega mujhse
kis ne sochā thā ki yuuñ bair karegā mujh se
ḳhud mirā saayā bahut duur banegā mujh se
saḳht mushkil hai magar dekh tirā kāsa-e-zāt
gar kisī roz bharā bhī to bharegā mujh se
mere chāhe se na nikle bhale ummīd kī dhuup
haañ magar tujh meñ jo kohrā hai chhañTegā mujh se
itnā to merī ḳhamoshī bhī dikhā.egī kamāl
koī chup-zāt tujhe yaad rahegā mujh se
fikr kuchh itnī hai terī ki qarīb aate hue
ḳhud mirā dil tujhe āgāh karegā mujh se
kis ne socha tha ki yun bair karega mujh se
KHud mera saya bahut dur banega mujh se
saKHt mushkil hai magar dekh tera kasa-e-zat
gar kisi roz bhara bhi to bharega mujh se
mere chahe se na nikle bhale ummid ki dhup
han magar tujh mein jo kohra hai chhanTega mujh se
itna to meri KHamoshi bhi dikhaegi kamal
koi chup-zat tujhe yaad rahega mujh se
fikr kuchh itni hai teri ki qarib aate hue
KHud mera dil tujhe aagah karega mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.