kis ne un ke panw ki miTTi la kar di
kis ne un ke paañv kī miTTī lā kar dī
kis ne āñkhoñ ko bīnā.ī lā kar dī
aaj hameñ itnā bhī sadqa kaafī hai
ham ne ik bachche ko taḳhtī lā kar dī
us ne totā-chashmī kī hai achchhā hai
bagule kī tahvīl meñ machhlī lā kar dī
āḳhir ḳhvāb meñ ye kyā manzar dekhā hai
sub.h ne shaam ko nuur kī pagḌī lā kar dī
haj ko jaanā tark kiyā mujh nādāñ ne
ek apāhij ko baisākhī lā kar dī
kis ne marte dam qur.ān sunāyā hai
kis ne āḳhir dhuup meñ chhatrī lā kar dī
kis ne un ke panw ki miTTi la kar di
kis ne aankhon ko binai la kar di
aaj hamein itna bhi sadqa kafi hai
hum ne ek bachche ko taKHti la kar di
us ne tota-chashmi ki hai achchha hai
bagule ki tahwil mein machhli la kar di
aaKHir KHwab mein ye kya manzar dekha hai
subh ne sham ko nur ki pagDi la kar di
haj ko jaana tark kiya mujh nadan ne
ek apahij ko baisakhi la kar di
kis ne marte dam quran sunaya hai
kis ne aaKHir dhup mein chhatri la kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.