kis ne wahshi ko sikhaya ki tu aisa karna
kis ne wahshi ko sikhaya ki tu aisa karna
Syed Shafaq Shah Chishti
MORE BYSyed Shafaq Shah Chishti
kis ne vahshī ko sikhāyā ki tū aisā karnā
kuchh na kuchh ḳhaak pe likh likh ke miTāyā karnā
vo mirā kūcha-e-jānāñ meñ saverā karnā
raat bhar us kā darāroñ se vo jhāñkā karnā
ye kahāñ lā ke mujhe chhoḌ gayā josh-e-junūn
aap hī aap ḳhud apne ko pukārā karnā
ham to bas ek ko hī sajda kiyā karte haiñ
kaun kis kis kā pujārī hai hameñ kyā karnā
kyoñ na raushan hoñ tirī yaad se zaḳhmoñ ke charāġh
kaam hī sham.a kā hai ghar meñ ujālā karnā
ek din aane kā aur ek hai din jaane kā
isī do roz kī mohlat meñ hai kyā kyā karnā
bol kis dil se bhulā.ūñ jo bhulā.ūñ bhī tujhe
terā chhup-chhup ke vo aksar mujhe dekhā karnā
tū masīhā hai shifā detā hai tū hī sab ko
hai ye da.avā to mire zaḳhm ko achchhā karnā
us ke jalvoñ meñ the kho.e hue aise ki 'shafaq'
bhuul hī to ga.e ham arz-e-tamannā karnā
kis ne wahshi ko sikhaya ki tu aisa karna
kuchh na kuchh KHak pe likh likh ke miTaya karna
wo mera kucha-e-jaanan mein sawera karna
raat bhar us ka dararon se wo jhanka karna
ye kahan la ke mujhe chhoD gaya josh-e-junun
aap hi aap KHud apne ko pukara karna
hum to bas ek ko hi sajda kiya karte hain
kaun kis kis ka pujari hai hamein kya karna
kyon na raushan hon teri yaad se zaKHmon ke charagh
kaam hi shama ka hai ghar mein ujala karna
ek din aane ka aur ek hai din jaane ka
isi do roz ki mohlat mein hai kya kya karna
bol kis dil se bhulaun jo bhulaun bhi tujhe
tera chhup-chhup ke wo aksar mujhe dekha karna
tu masiha hai shifa deta hai tu hi sab ko
hai ye dawa to mere zaKHm ko achchha karna
us ke jalwon mein the khoe hue aise ki 'shafaq'
bhul hi to gae hum arz-e-tamanna karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.