kis or le chali hai hawa-e-numu mujhe
kis or le chalī hai havā-e-numū mujhe
miltā hai gām-gām ik āshufta-rau mujhe
kahnā to aur kuchh thā dam-e-guftugū mujhe
ik or samt Daal ga.e rang-o-bū mujhe
donoñ hī dard-kesh the donoñ hī besh the
maiñ tujh ko kam samajhtā rahā aur tū mujhe
bazm-e-numūd-o-nām sajī shor sā uThā
maiñ chal diyā ki raas na thī hāo-hū mujhe
'aḳhtar' baḌī kaḌī thī masāfat aur us ke baad
mujh par khulā ki apnī hī thī justujū mujhe
kis or le chali hai hawa-e-numu mujhe
milta hai gam-gam ek aashufta-rau mujhe
kahna to aur kuchh tha dam-e-guftugu mujhe
ek or samt Dal gae rang-o-bu mujhe
donon hi dard-kesh the donon hi besh the
main tujh ko kam samajhta raha aur tu mujhe
bazm-e-numud-o-nam saji shor sa uTha
main chal diya ki ras na thi hao-hu mujhe
'aKHtar' baDi kaDi thi masafat aur us ke baad
mujh par khula ki apni hi thi justuju mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.