kis pe barsegi inayat ki ghaTa mere baad
kis pe barsegī ināyat kī ghaTā mere baa'd
kaun Thahregā sazā-vār-e-ḳhatā mere baa'd
kaun sar legā mohabbat kī balā-e-nāgāh
kis ke ghar jā.egī mīrās-e-vafā mere baa'd
kaun aa.egā tire baam pe dastak dene
kaun pūchhegā tire ghar kā pata mere baa'd
ishva-o-nāz tire kaun sahegā har-dam
kaun thāmegā tirā dast-e-hinā mere baa'd
kaun rakkhegā tire zaḳhm-e-darūñ par marham
kaun kholegā tire dil kī girah mere baa'd
mujh ko ma.alūm hai paimān-e-mohabbat kyā hai
kis se uTh pā.egā ye bār-e-vafā mere baa'd
aur kuchh der kā mehmāñ huuñ sitamgar terā
phir banā.egā kise mashq-e-jafā mere baa'd
dast-e-rangīñ se pilā de mai-e-gulgūñ saaqī
kis ke kaam aa.egā ye rang-e-hinā mere baa'd
huuñ muḳhil aur koī der tirī mahfil meñ
phir karegā na koī āh-o-bukā mere baa'd
baa'd mere ruḳh-e-zebā pe khulā rang-e-lahū
koī dekhe to ye andāz-o-adā mere baa'd
rakh ke shāyad vo kahīñ bhuul ga.e the yaksar
yaad aa.ī unheñ tasvīr-e-vafā mere baa'd
baa'd marne ke unheñ aa hī gayā merā ḳhayāl
ḳhuub sūjhī hai ye ījād-e-vafā mere baa'd
maiñ amānat thā ḳhudā kī so ḳhudā tak pahuñchā
yuuñ na turbat pe karo hashr bapā mere baad
ek duniyā-e-kashākash thī mire dam se basī
kis se pur hogā ye aivān-e-ḳhalā mere baad
paḌ ga.e maañd sitāroñ ke damakte chehre
phir na aa.ī ruḳh-e-hastī pe jilā mere baa'd
jin se guzrā thā kabhī qāfila-e-zīst mirā
DhūñDhtī hai unhīñ rāhoñ ko sabā mere baa'd
mahfil-e-sher-o-suḳhan 'shaiḳh' hai suunī suunī
ho ga.ī saaz se mahrūm sadā mere baa'd
kis pe barsegi inayat ki ghaTa mere ba'd
kaun Thahrega saza-war-e-KHata mere ba'd
kaun sar lega mohabbat ki bala-e-nagah
kis ke ghar jaegi miras-e-wafa mere ba'd
kaun aaega tere baam pe dastak dene
kaun puchhega tere ghar ka pata mere ba'd
ishwa-o-naz tere kaun sahega har-dam
kaun thamega tera dast-e-hina mere ba'd
kaun rakkhega tere zaKHm-e-darun par marham
kaun kholega tere dil ki girah mere ba'd
mujh ko malum hai paiman-e-mohabbat kya hai
kis se uTh paega ye bar-e-wafa mere ba'd
aur kuchh der ka mehman hun sitamgar tera
phir banaega kise mashq-e-jafa mere ba'd
dast-e-rangin se pila de mai-e-gulgun saqi
kis ke kaam aaega ye rang-e-hina mere ba'd
hun muKHil aur koi der teri mahfil mein
phir karega na koi aah-o-buka mere ba'd
ba'd mere ruKH-e-zeba pe khula rang-e-lahu
koi dekhe to ye andaz-o-ada mere ba'd
rakh ke shayad wo kahin bhul gae the yaksar
yaad aai unhen taswir-e-wafa mere ba'd
ba'd marne ke unhen aa hi gaya mera KHayal
KHub sujhi hai ye ijad-e-wafa mere ba'd
main amanat tha KHuda ki so KHuda tak pahuncha
yun na turbat pe karo hashr bapa mere baad
ek duniya-e-kashakash thi mere dam se basi
kis se pur hoga ye aiwan-e-KHala mere baad
paD gae mand sitaron ke damakte chehre
phir na aai ruKH-e-hasti pe jila mere ba'd
jin se guzra tha kabhi qafila-e-zist mera
DhunDhti hai unhin rahon ko saba mere ba'd
mahfil-e-sher-o-suKHan 'shaiKH' hai suni suni
ho gai saz se mahrum sada mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.