kis qadar aam hui jurm-e-mohabbat ki jabr
kis qadar 'aam huī jurm-e-mohabbat kī jabr
ik zarā sā jo tire naam pe ham chauñk uThe
mere hāthoñ kī lakīroñ kī ravish ke aage
rāh-e-pur-pech se lipTe hue ḳham chauñk uThe
ittifāqan jo nazar dāman-e-tar pe Daalī
fart-e-hairat se mire dīda-e-nam chauñk uThe
maiñ ne is tarz se manzūm kiye dard-e-hayāt
ahl-e-afkār ke hāthoñ meñ qalam chauñk uThe
ham mohabbat meñ 'ibādat kī hadoñ se guzre
huā nārāz ḳhudā aur sanam chauñk uThe
jab mire zabt ke 'ālam kā huā andāza
sharmsārī ke sabab zulm-o-sitam chauñk uThe
kis qadar 'am hui jurm-e-mohabbat ki jabr
ek zara sa jo tere nam pe hum chaunk uThe
mere hathon ki lakiron ki rawish ke aage
rah-e-pur-pech se lipTe hue KHam chaunk uThe
ittifaqan jo nazar daman-e-tar pe Dali
fart-e-hairat se mere dida-e-nam chaunk uThe
main ne is tarz se manzum kiye dard-e-hayat
ahl-e-afkar ke hathon mein qalam chaunk uThe
hum mohabbat mein 'ibaadat ki hadon se guzre
hua naraaz KHuda aur sanam chaunk uThe
jab mere zabt ke 'alam ka hua andaza
sharmsari ke sabab zulm-o-sitam chaunk uThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.