kis qadar be-kaif duniya-e-dani hai sahabo
kis qadar be-kaif duniyā-e-danī hai sāhabo
be-kasī hai be-hisī hai be-ruḳhī hai sāhabo
har kalī ke hoñT par pīḌhī jamī hai sāhabo
pyaas ke jangal meñ kitnī bekalī hai sāhabo
dekhnā lalchānā aur mahrūm rahnā aa.e din
infi.ālī zindagī kyā zindagī hai sāhabo
chāñd mohsin-kush thā sūraj ko dabā kar khā gayā
go usī ke dam se us meñ raushnī hai sāhabo
dūsroñ ko rauñdiye aur aage baḌhte jā.iye
ba.az logoñ ke liye sab kuchh yahī hai sāhabo
baañs par mujh ko chaḌhā.eñ laakh arbāb-e-ġharaz
jāntā huuñ maiñ jo asliyyat mirī hai sāhabo
chal ke registān meñ dekheñ sarāb andar sarāb
ḳhud-farebī meñ qayāmat dilkashī hai sāhabo
shaam ko chiḌiyoñ kī chūñ-chūñ raat ko meñDak kā shor
kitnī ūñchī kā.enātī shā.erī hai sāhabo
kyoñ musir haiñ aap maiñ sīdhī Dagar hī par chalūñ
merī shaḳhsiyyat se ye to dushmanī hai sāhabo
sair-e-firdaus-e-nazar ko manā farmāte haiñ aap
shaiḳh sāhib ke taḳhayyul meñ kajī hai sāhabo
bādaloñ meñ ḳhud-farāmoshī ke dam bhar kar uḌeñ
maan jaao merī chhoTī sī ḳhushī hai sāhabo
jhāñk kar dekhā jo maiñ ne andarūn-e-lā-shu.ūr
is zamīñ par kis ġhazab kī zindagī hai sāhabo
kis liye mab.hūt ho ḳhush-ḳhvābī-e-māzī meñ tum
haal kī dildāriyoñ meñ kyā kamī hai sāhabo
apne apne dekhne ke Dhang par hai munhasir
zindagī meñ tāzgī hī tāzgī hai sāhabo
is meñ soz-e-dil milā do to shafaq ban jā.egī
ye jo matl.e par zarā sī raushnī hai sāhabo
kis qadar be-kaif duniya-e-dani hai sahabo
be-kasi hai be-hisi hai be-ruKHi hai sahabo
har kali ke honT par piDhi jami hai sahabo
pyas ke jangal mein kitni bekali hai sahabo
dekhna lalchana aur mahrum rahna aae din
infiali zindagi kya zindagi hai sahabo
chand mohsin-kush tha suraj ko daba kar kha gaya
go usi ke dam se us mein raushni hai sahabo
dusron ko raundiye aur aage baDhte jaiye
baz logon ke liye sab kuchh yahi hai sahabo
bans par mujh ko chaDhaen lakh arbab-e-gharaz
jaanta hun main jo asliyyat meri hai sahabo
chal ke registan mein dekhen sarab andar sarab
KHud-farebi mein qayamat dilkashi hai sahabo
sham ko chiDiyon ki chun-chun raat ko meinDak ka shor
kitni unchi kaenati shaeri hai sahabo
kyon musir hain aap main sidhi Dagar hi par chalun
meri shaKHsiyyat se ye to dushmani hai sahabo
sair-e-firdaus-e-nazar ko mana farmate hain aap
shaiKH sahib ke taKHayyul mein kaji hai sahabo
baadalon mein KHud-faramoshi ke dam bhar kar uDen
man jao meri chhoTi si KHushi hai sahabo
jhank kar dekha jo main ne andarun-e-la-shuur
is zamin par kis ghazab ki zindagi hai sahabo
kis liye mabhut ho KHush-KHwabi-e-mazi mein tum
haal ki dildariyon mein kya kami hai sahabo
apne apne dekhne ke Dhang par hai munhasir
zindagi mein tazgi hi tazgi hai sahabo
is mein soz-e-dil mila do to shafaq ban jaegi
ye jo matle par zara si raushni hai sahabo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.