kis qadar chahte hain zaKHm mujhe
kis qadar chāhte haiñ zaḳhm mujhe
aaj phir lag ga.e haiñ zaḳhm mujhe
ab takalluf kī kyā zarūrat hai
ab to pahchānte haiñ zaḳhm mujhe
jab bhī marham kī baat kartā huuñ
der tak ghūrte haiñ zaḳhm mujhe
dekh kar ro paḌā huuñ zaḳhmoñ ko
dekh kar ro paḌe haiñ zaḳhm mujhe
kuchh tumheñ bhī lage haiñ zaḳhm mire
kuchh tumhāre lage haiñ zaḳhm mujhe
'ain mumkin hai haath lag jā.ūñ
DhūñDte phir rahe haiñ zaḳhm mujhe
sun rahe haiñ mirī ġhazal 'sharjīl'
daad bhī de rahe haiñ zaḳhm mujhe
kis qadar chahte hain zaKHm mujhe
aaj phir lag gae hain zaKHm mujhe
ab takalluf ki kya zarurat hai
ab to pahchante hain zaKHm mujhe
jab bhi marham ki baat karta hun
der tak ghurte hain zaKHm mujhe
dekh kar ro paDa hun zaKHmon ko
dekh kar ro paDe hain zaKHm mujhe
kuchh tumhein bhi lage hain zaKHm mere
kuchh tumhaare lage hain zaKHm mujhe
'ain mumkin hai hath lag jaun
DhunDte phir rahe hain zaKHm mujhe
sun rahe hain meri ghazal 'sharjil'
dad bhi de rahe hain zaKHm mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.