kis qadar KHush tha kabhi yaron ke bich
kis qadar ḳhush thā kabhī yāroñ ke biich
ab tarastā huuñ maiñ ḳhar-kāroñ ke biich
kuchh ḳhabar bhī hai mirī kuTiyā tujhe
ghir ga.ī hai kitne zardāroñ ke biich
dekh kar dushman mirā rone lagā
khilkhilāyā maiñ jo añgāroñ ke biich
kyā karegā sar pakaḌne ke sivā
ik masīhā itne bīmāroñ ke biich
jaane kyuuñ dīvār TeḌhī ho ga.ī
aur vo bhī itne me.amāroñ ke biich
merā girya rā.egāñ jaane lagā
kyā huā hāsil riyā-kāroñ ke biich
rah sakeñgī kis tarah parvāz ḳhush
chand sāñseñ itne āzāroñ ke biich
kis qadar KHush tha kabhi yaron ke bich
ab tarasta hun main KHar-karon ke bich
kuchh KHabar bhi hai meri kuTiya tujhe
ghir gai hai kitne zardaron ke bich
dekh kar dushman mera rone laga
khilkhilaya main jo angaron ke bich
kya karega sar pakaDne ke siwa
ek masiha itne bimaron ke bich
jaane kyun diwar TeDhi ho gai
aur wo bhi itne meamaron ke bich
mera girya raegan jaane laga
kya hua hasil riya-karon ke bich
rah sakengi kis tarah parwaz KHush
chand sansen itne aazaron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.