kis qadar masum dukhiyare hain ye
kis qadar ma.asūm dukhiyāre haiñ ye
raushnī kī raat ke taare haiñ ye
ham ko to gintī talak aatī nahīñ
kitnā kuchh jiitā hai aur haare haiñ ye
haa.e kaisī dopahar kā sāmnā
pā-barahna ham haiñ banjāre haiñ ye
makr hai sab pāniyoñ pe tairnā
duur rahnā jalte angāre haiñ ye
kaun jaane in kī baḳhshish hai kahāñ
pattharoñ pe roz sar maare haiñ ye
kis qadar masum dukhiyare hain ye
raushni ki raat ke tare hain ye
hum ko to ginti talak aati nahin
kitna kuchh jita hai aur haare hain ye
hae kaisi dopahar ka samna
pa-barahna hum hain banjare hain ye
makr hai sab paniyon pe tairna
dur rahna jalte angare hain ye
kaun jaane in ki baKHshish hai kahan
pattharon pe roz sar mare hain ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.