kis qadar manzil-e-asan mein rakkha gaya hun
kis qadar manzil-e-asan mein rakkha gaya hun
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
kis qadar manzil-e-āsān meñ rakkhā gayā huuñ
phuul aslī huuñ maiñ guldān meñ rakkhā gayā huuñ
dosto apnī tavajjoh na haTānā mujh se
ek ummīd huuñ imkān meñ rakkhā gayā huuñ
tā na ho merī sadā ḳhvāb-gah-e-shah meñ muḳhil
ehtiyātan bhī maiñ aivān meñ rakkhā gayā huuñ
vahī sāhil kī tamanna bhī rakhegā dil meñ
jis ke iimā pe maiñ tūfān meñ rakkhā gayā huuñ
maiñ ḳhudā huuñ na mire lafz ḳhudā.ī vaale
ek ghar hai jahāñ juzdān meñ rakkhā gayā huuñ
koī masraf nahīñ rahtā hai purānī shai kā
pheñkne ke liye dālān meñ rakkhā gayā huuñ
kis qadar manzil-e-asan mein rakkha gaya hun
phul asli hun main guldan mein rakkha gaya hun
dosto apni tawajjoh na haTana mujh se
ek ummid hun imkan mein rakkha gaya hun
ta na ho meri sada KHwab-gah-e-shah mein muKHil
ehtiyatan bhi main aiwan mein rakkha gaya hun
wahi sahil ki tamanna bhi rakhega dil mein
jis ke ima pe main tufan mein rakkha gaya hun
main KHuda hun na mere lafz KHudai wale
ek ghar hai jahan juzdan mein rakkha gaya hun
koi masraf nahin rahta hai purani shai ka
phenkne ke liye dalan mein rakkha gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.