kis qadar masala-e-sham-o-sahar badla hai
kis qadar mas.ala-e-shām-o-sahar badlā hai
jab zarā zāviya-e-fikr-o-nazar badlā hai
samt-e-manzil kā ta.ayyun nahīñ do gaam kī baat
kitne moḌ aa.e haiñ jab tarz-e-safar badlā hai
apnī āvāz pe ham chauñk uThe haiñ ḳhud bhī
ik zarā lahja-e-ehsās agar badlā hai
dasht meñ bhī kabhī is tarah na jī lagtā thā
ab ke dīvāngī badlī hai ki ghar badlā hai
aa gayā hai rasan-o-dār ke mā'mūl meñ farq
jab kabhī zābta-e-gardan-o-sar badlā hai
ab vo yak-rañgī-e-māhaul kī talḳhī to nahīñ
ham ne mai badlī na ho jaam magar badlā hai
inqalāb aayā hai is tarah bhī ghar meñ aksar
dar se dīvār na dīvār se dar badlā hai
kis qadar masala-e-sham-o-sahar badla hai
jab zara zawiya-e-fikr-o-nazar badla hai
samt-e-manzil ka tayyun nahin do gam ki baat
kitne moD aae hain jab tarz-e-safar badla hai
apni aawaz pe hum chaunk uThe hain KHud bhi
ek zara lahja-e-ehsas agar badla hai
dasht mein bhi kabhi is tarah na ji lagta tha
ab ke diwangi badli hai ki ghar badla hai
aa gaya hai rasan-o-dar ke ma'mul mein farq
jab kabhi zabta-e-gardan-o-sar badla hai
ab wo yak-rangi-e-mahaul ki talKHi to nahin
hum ne mai badli na ho jam magar badla hai
inqalab aaya hai is tarah bhi ghar mein aksar
dar se diwar na diwar se dar badla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.