kis qayamat ka adakar chhupa hai mujh mein
kis qayāmat kā adākār chhupā hai mujh meñ
merā hī hāshiya-bardār chhupā hai mujh meñ
merī tā.īd ke asbāb banāne vaalo
ḳhud mirī zaat kā inkār chhupā hai mujh meñ
bas tire ġham ko samajhtā hai ibādat apnī
vo jo ik terā azādār chhupā hai mujh meñ
be-niyāzī mirī duniyā se batātī hai mujhe
ho na ho koī samajhdār chhupā hai mujh meñ
aa zuleḳhā mirī āñkhoñ se mire dil meñ utar
dekh ik misr kā bāzār chhupā hai mujh meñ
merī fitrat hai zamāne se mohabbat karnā
log kahte haiñ ki makkār chhupā hai mujh meñ
jis ne aadam ko nikalvāyā thā jannat se kabhī
bas vahī ek gunahgār chhupā hai mujh meñ
tujh se jhagḌūñ to muqābil mire aa jaatā hai
aisā ik terā taraf-dār chhupā hai mujh meñ
ye alag baat ki zāhir nahīñ hotā hai kabhī
vaise ik shaḳhs mazedār chhupā hai mujh meñ
mere bātin meñ jo har samt hai ḳhushbū me.arāj
ye sabab hai ki mirā yaar chhupā hai mujh meñ
kis qayamat ka adakar chhupa hai mujh mein
mera hi hashiya-bardar chhupa hai mujh mein
meri taid ke asbab banane walo
KHud meri zat ka inkar chhupa hai mujh mein
bas tere gham ko samajhta hai ibaadat apni
wo jo ek tera azadar chhupa hai mujh mein
be-niyazi meri duniya se batati hai mujhe
ho na ho koi samajhdar chhupa hai mujh mein
aa zuleKHa meri aankhon se mere dil mein utar
dekh ek misr ka bazar chhupa hai mujh mein
meri fitrat hai zamane se mohabbat karna
log kahte hain ki makkar chhupa hai mujh mein
jis ne aadam ko nikalwaya tha jannat se kabhi
bas wahi ek gunahgar chhupa hai mujh mein
tujh se jhagDun to muqabil mere aa jata hai
aisa ek tera taraf-dar chhupa hai mujh mein
ye alag baat ki zahir nahin hota hai kabhi
waise ek shaKHs mazedar chhupa hai mujh mein
mere baatin mein jo har samt hai KHushbu mearaj
ye sabab hai ki mera yar chhupa hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.