kis rang mein hain ahl-e-wafa us se na kahna
kis rañg meñ haiñ ahl-e-vafā us se na kahnā
kyuuñ phuul haiñ ḳhushbū se judā us se na kahnā
Duubī nahīñ muddat se jo nazroñ ke bhañvar meñ
is aañkh kā jo haal huā us se na kahnā
yādoñ ke dar-o-bām pe ik naam vahī naam
kyā jaane ka.ī baar likhā us se na kahnā
lipTī thī darīchoñ se hasīñ chāñdnī kaise
kyā kyā mujhe tāroñ ne kahā us se na kahnā
bujhtī hī nahīñ pyaas yahāñ jalte laboñ kī
bin barse guzartī hai ghaTā us se na kahnā
bikhrī thiiñ kabhī rañgateñ us suune nagar meñ
ab 'shām' na ḳhushbū na havā us se na kahnā
kis rang mein hain ahl-e-wafa us se na kahna
kyun phul hain KHushbu se juda us se na kahna
Dubi nahin muddat se jo nazron ke bhanwar mein
is aankh ka jo haal hua us se na kahna
yaadon ke dar-o-baam pe ek nam wahi nam
kya jaane kai bar likha us se na kahna
lipTi thi darichon se hasin chandni kaise
kya kya mujhe taron ne kaha us se na kahna
bujhti hi nahin pyas yahan jalte labon ki
bin barse guzarti hai ghaTa us se na kahna
bikhri thin kabhi rangaten us sune nagar mein
ab 'sham' na KHushbu na hawa us se na kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.