kis sadgi se chhoD diya hai bahaw par
kis sādgī se chhoḌ diyā hai bahāv par
hālāñ ki ham savār haiñ kāġhaz kī naav par
ham khilkhilā ke hañste haiñ har taaza ghaav par
kuchh log mo'tariz haiñ isī rakh-rakhāv par
ye aag bhī unhīñ kī lagā.ī huī to hai
jo log haath taap rahe haiñ alaav par
shahr-e-suḳhan kā tarz-e-tijārat 'ajīb hai
bikte haiñ fikr-o-fan bhī to miTTī ke bhaav par
rahzan haiñ ahl-e-qāfila haiñ aur gard-e-rāh
rahbar ko chhoḌ aa.e haiñ pichhle paḌāv par
ham bekasoñ pe itnā munāsib nahīñ hai zulm
chīñTā bhī kaaT letā hai aksar dabāv par
mumkin nahīñ hai 'ishq kī baazī ko haar jaa.eñ
dil jaisī chiiz ham ne lagā.ī hai daav par
vo shaḳhs zindagī kī bulandī na chhū sakā
vo jis kā saañs phuul gayā ho chaḌhāv par
'ishrat' ḳhulūs-o-mehr-o-vafā dostī kī laaj
biktī haiñ saarī chīzeñ yahāñ ek bhaav par
kis sadgi se chhoD diya hai bahaw par
haalan ki hum sawar hain kaghaz ki naw par
hum khilkhila ke hanste hain har taza ghaw par
kuchh log mo'tariz hain isi rakh-rakhaw par
ye aag bhi unhin ki lagai hui to hai
jo log hath tap rahe hain alaw par
shahr-e-suKHan ka tarz-e-tijarat 'ajib hai
bikte hain fikr-o-fan bhi to miTTi ke bhaw par
rahzan hain ahl-e-qafila hain aur gard-e-rah
rahbar ko chhoD aae hain pichhle paDaw par
hum bekason pe itna munasib nahin hai zulm
chinTa bhi kaT leta hai aksar dabaw par
mumkin nahin hai 'ishq ki bazi ko haar jaen
dil jaisi chiz hum ne lagai hai daw par
wo shaKHs zindagi ki bulandi na chhu saka
wo jis ka sans phul gaya ho chaDhaw par
'ishrat' KHulus-o-mehr-o-wafa dosti ki laj
bikti hain sari chizen yahan ek bhaw par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.