kis samt baDh rahe hain qadam kuchh pata nahin
kis samt baḌh rahe haiñ qadam kuchh patā nahīñ
tanhā safar kā mujh ko koī tajraba nahīñ
ai dil dayār-e-ġhair se vāpas chale-chalo
is shahr meñ milegā koī ham-navā nahīñ
kaisā ye marhala hai ki ik dūsre se ham
kahne ko āshnā haiñ magar āshnā nahīñ
ham ko hī tere baa'd na kuchh raas aa sakā
duniyā meñ dil lagāne ko varna thā kyā nahīñ
aise to TūTte nahīñ chāhat ke silsile
paiham bhulāne se to koī bhūltā nahīñ
ai ḳhvāb-e-ḳhush-numā tirī hasrat bajā magar
āñkhoñ kā ḳhush-numā.ī pe ab haq rahā nahīñ
dil ik ḳhizāñ-rasīda chaman hai ki jis meñ phir
tā-'umr aarzū kā koī gul khilā nahīñ
kis samt baDh rahe hain qadam kuchh pata nahin
tanha safar ka mujh ko koi tajraba nahin
ai dil dayar-e-ghair se wapas chale-chalo
is shahr mein milega koi ham-nawa nahin
kaisa ye marhala hai ki ek dusre se hum
kahne ko aashna hain magar aashna nahin
hum ko hi tere ba'd na kuchh ras aa saka
duniya mein dil lagane ko warna tha kya nahin
aise to TuTte nahin chahat ke silsile
paiham bhulane se to koi bhulta nahin
ai KHwab-e-KHush-numa teri hasrat baja magar
aankhon ka KHush-numai pe ab haq raha nahin
dil ek KHizan-rasida chaman hai ki jis mein phir
ta-'umr aarzu ka koi gul khila nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.