kis se kis kis par karen shikwa-guzari chhoDiye
kis se kis kis par kareñ shikva-guzārī chhoḌiye
zaḳhm par hañste haiñ saare baarī baarī chhoḌiye
aap kahiye aap ko kis baat kā dukh khā rahā
ham ne kitnī karvaToñ meñ shab-guzārī chhoḌiye
ek idhar jo aap ke hī 'ishq kā bīmār maiñ
aur us par aap kī tīmārdārī chhoḌiye
aap kī sāda-dilī Dūbegī le kar aap ko
aap sunte hī nahīñ lekin hamārī chhoḌiye
aaj us ne phone par pūchhā hai phir kaise ho tum
ye mohabbat hai yā koī hoshiyārī chhoḌiye
haañ ye tai hai tab milegī be-sukūnī se najāt
haañ magar ik shart hai ye duniyā-dārī chhoḌiye
kis se kis kis par karen shikwa-guzari chhoDiye
zaKHm par hanste hain sare bari bari chhoDiye
aap kahiye aap ko kis baat ka dukh kha raha
hum ne kitni karwaTon mein shab-guzari chhoDiye
ek idhar jo aap ke hi 'ishq ka bimar main
aur us par aap ki timardari chhoDiye
aap ki sada-dili Dubegi le kar aap ko
aap sunte hi nahin lekin hamari chhoDiye
aaj us ne phone par puchha hai phir kaise ho tum
ye mohabbat hai ya koi hoshiyari chhoDiye
han ye tai hai tab milegi be-sukuni se najat
han magar ek shart hai ye duniya-dari chhoDiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.