kis shaghl ko apnae aaKHir tera saudai
kis shaġhl ko apnā.e āḳhir tirā saudā.ī
hañsne meñ bhī rusvā.ī rone meñ bhī rusvā.ī
arbāb-e-mohabbat ke kyā kyā na sune ta.ane
rūdād-e-dil-e-muztar lab par jo kabhī aa.ī
haañ terī tamanna ko ham dil se bhulā deñge
jiine kī koī sūrat zālim jo nikal aa.ī
is baat se kyā hāsil ye ahl-e-suḳhan jāneñ
jis baat meñ hotī hai gahrā.ī na gīrā.ī
ab tere liye duniyā hotī hai to ho dushman
kāñToñ se nahīñ Dartā phūloñ kā tamannā.ī
tum dair-o-kalīsā hī dekho na haram 'nāzim'
aisā bhī bhalā kyā hai saudā-e-jabīñ-sā.ī
kis shaghl ko apnae aaKHir tera saudai
hansne mein bhi ruswai rone mein bhi ruswai
arbab-e-mohabbat ke kya kya na sune tane
rudad-e-dil-e-muztar lab par jo kabhi aai
han teri tamanna ko hum dil se bhula denge
jine ki koi surat zalim jo nikal aai
is baat se kya hasil ye ahl-e-suKHan jaanen
jis baat mein hoti hai gahrai na girai
ab tere liye duniya hoti hai to ho dushman
kanTon se nahin Darta phulon ka tamannai
tum dair-o-kalisa hi dekho na haram 'nazim'
aisa bhi bhala kya hai sauda-e-jabin-sai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.