kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah
kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
kis sitamgar kā gunahgār huuñ allāh allāh
kis ke tīroñ se dil-afgār huuñ allāh allāh
us ke hāthoñ se na jiitā huuñ na martā huuñ maiñ
kis musībat meñ giraftār huuñ allāh allāh
ḳhizr ab duur kar aage se mire āb-e-hayāt
kis ke bose kā talabgār huuñ allāh allāh
kyuuñ na āñkhoñ meñ rakhe mujh ko zuleḳhā bhī 'azīz
kaise yūsuf kā ḳharīdār huuñ allāh allāh
namak-e-husn se us lab ke maze lūTūñ huuñ
kis namak-dāñ kā namak-ḳhvār huuñ allāh allāh
nargis ab ham se na kar dāva-e-ham-chashmī tū
kis kī nargis kā maiñ bīmār huuñ allāh allāh
itnā kahtā bhī nahīñ kaun ye chillātā hai
kab se nālāñ pas-e-dīvār huuñ allāh allāh
ḳhvāb meñ yaar ne aa mujh ko jagāyā 'hātim'
kis qadar tāle-e-be-dār huuñ allāh allāh
kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah
kis ke tiron se dil-afgar hun allah allah
us ke hathon se na jita hun na marta hun main
kis musibat mein giraftar hun allah allah
KHizr ab dur kar aage se mere aab-e-hayat
kis ke bose ka talabgar hun allah allah
kyun na aankhon mein rakhe mujh ko zuleKHa bhi 'aziz
kaise yusuf ka KHaridar hun allah allah
namak-e-husn se us lab ke maze luTun hun
kis namak-dan ka namak-KHwar hun allah allah
nargis ab hum se na kar dawa-e-ham-chashmi tu
kis ki nargis ka main bimar hun allah allah
itna kahta bhi nahin kaun ye chillata hai
kab se nalan pas-e-diwar hun allah allah
KHwab mein yar ne aa mujh ko jagaya 'hatim'
kis qadar tale-e-be-dar hun allah allah
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 274)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.