kis tarah chubhte hue Khaar se KHushbu aae
kis tarah chubhte hue ḳhaar se ḳhushbū aa.e
phuul hoñ lafz to iz.hār se ḳhushbū aa.e
nanhe ġhunchoñ se khilā rahtā hai āñgan dil kā
yuuñ mahaktī huuñ ki ghar-bār se ḳhushbū aa.e
gardish-e-vaqt kī tārīkī se Darnā kaisā
saath ho vo to shab-e-tār se ḳhushbū aa.e
jazba-e-dil meñ jo sachchā.ī kī dhaḌkan ubhre
ishq lobān bane pyaar se ḳhushbū aa.e
bas vahī log mohabbat ke haiñ qābil 'mīnā'
jin ke a.amāl se kirdār kī ḳhushbū aa.e
kis tarah chubhte hue KHar se KHushbu aae
phul hon lafz to izhaar se KHushbu aae
nanhe ghunchon se khila rahta hai aangan dil ka
yun mahakti hun ki ghar-bar se KHushbu aae
gardish-e-waqt ki tariki se Darna kaisa
sath ho wo to shab-e-tar se KHushbu aae
jazba-e-dil mein jo sachchai ki dhaDkan ubhre
ishq loban bane pyar se KHushbu aae
bas wahi log mohabbat ke hain qabil 'mina'
jin ke aamal se kirdar ki KHushbu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.