kis tarah jaun ki ye aae hue raat mein hain
kis tarah jā.ūñ ki ye aa.e hue raat meñ haiñ
ye añdhere nahīñ haiñ saa.e mirī ghaat meñ haiñ
miltā rahtā huuñ maiñ un se to ye mil lete haiñ
yaar ab dil meñ nahīñ rahte mulāqāt meñ haiñ
ye to nākām asāsa hai samundar ke paas
kuchh ġhazabnāk sī lahreñ mire jazbāt meñ haiñ
ye dhueñ meñ jo nazar aate haiñ sarsabz yahāñ
ye makāñ shahr meñ ho kar bhī mazāfāt meñ haiñ
dil kā chhūnā thā ki jazbāt hue patthar ke
aisā lagtā hai ki ham shahr-e-tilismāt meñ haiñ
maiñ hī takrār huuñ aur maiñ hī mukarrar huuñ yahāñ
vaqt par chalte hue din mirī auqāt meñ haiñ
kis tarah jaun ki ye aae hue raat mein hain
ye andhere nahin hain sae meri ghat mein hain
milta rahta hun main un se to ye mil lete hain
yar ab dil mein nahin rahte mulaqat mein hain
ye to nakaam asasa hai samundar ke pas
kuchh ghazabnak si lahren mere jazbaat mein hain
ye dhuen mein jo nazar aate hain sarsabz yahan
ye makan shahr mein ho kar bhi mazafat mein hain
dil ka chhuna tha ki jazbaat hue patthar ke
aisa lagta hai ki hum shahr-e-tilismat mein hain
main hi takrar hun aur main hi mukarrar hun yahan
waqt par chalte hue din meri auqat mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.