kis tarah pyas ko pani se alag rakkha jae
kis tarah pyaas ko paanī se alag rakkhā jaa.e
mauj-e-dariyā ko ravānī se alag rakkhā jaa.e
ab mirā zikr kiyā jaa.e kisī aur tarah
mujh ko ab merī kahānī se alag rakkhā jaa.e
varna ho jā.egī ab is se mohabbat mujh ko
mujh ko is dushman-e-jānī se alag rakkhā jaa.e
kaise raajā ke farā.ez ko kiyā jaa.e kam
kaise tanhā.ī ko raanī se alag rakkhā jaa.e
tab hī khul pā.egā maqsad mirī in bātoñ kā
gar inheñ lafz-o-ma.ānī se alag rakkhā jaa.e
'ishq is 'umr meñ hotā hai junūñ-ḳhez bahut
'ishq ko ahd-e-javānī se alag rakkhā jaa.e
kis tarah pyas ko pani se alag rakkha jae
mauj-e-dariya ko rawani se alag rakkha jae
ab mera zikr kiya jae kisi aur tarah
mujh ko ab meri kahani se alag rakkha jae
warna ho jaegi ab is se mohabbat mujh ko
mujh ko is dushman-e-jaani se alag rakkha jae
kaise raja ke faraez ko kiya jae kam
kaise tanhai ko rani se alag rakkha jae
tab hi khul paega maqsad meri in baaton ka
gar inhen lafz-o-maani se alag rakkha jae
'ishq is 'umr mein hota hai junun-KHez bahut
'ishq ko ahd-e-jawani se alag rakkha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.