kis tarah yaad mein us shoKH ki bekal dariya
kis tarah yaad meñ us shoḳh kī bekal dariyā
koh meñ dasht meñ phirtā rahā pāgal dariyā
chāñdnī raat vo kāfir ye fazā-e-mai-gūñ
paas añgḌā.iyāñ letā huā chanchal dariyā
jab vo āseb-zada dasht se guzrā to lagā
jaise nau-ḳhez sī beva kā hai āñchal dariyā
apnī ḳhāmoshī pe kyā aur kahūñ is ke sivā
jaise tūfān se pahle koī bekal dariyā
aisī hī saḳht use choT lagī hai dil par
saañp kī tarah taḌaptā hai ye ghā.il dariyā
kis tarah yaad mein us shoKH ki bekal dariya
koh mein dasht mein phirta raha pagal dariya
chandni raat wo kafir ye faza-e-mai-gun
pas angDaiyan leta hua chanchal dariya
jab wo aaseb-zada dasht se guzra to laga
jaise nau-KHez si bewa ka hai aanchal dariya
apni KHamoshi pe kya aur kahun is ke siwa
jaise tufan se pahle koi bekal dariya
aisi hi saKHt use choT lagi hai dil par
sanp ki tarah taDapta hai ye ghail dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.