kis tarah yaron ne poshida KHazane DhunDe
kis tarah yāroñ ne poshīda ḳhazāne DhūñDe
phir yahī zaḳhm-e-darūñ kaun na jaane DhūñDe
ham jo guzre haiñ ḳharābe se to hairat ye hai
jitne DhūñDe haiñ mohabbat ke fasāne DhūñDe
ḳhair ye jaan amānat thī so jaanī thī kabhī
kyā se kyā us ne bhī khone ke bahāne DhūñDe
us ke pahlū meñ haiñ to rain-baserā kar leñ
nit na.e kaun kahāñ roz Thikāne DhūñDe
aaj phir maiñ ne kitāboñ se mahak paa.ī hai
aaj phir maiñ ne kahīñ phuul purāne DhūñDe
aa.e zaanū meñ to sar dhar diyā us ke aage
soī pahlū meñ to baazū ke sirhāne DhūñDe
kis tarah yaron ne poshida KHazane DhunDe
phir yahi zaKHm-e-darun kaun na jaane DhunDe
hum jo guzre hain KHarabe se to hairat ye hai
jitne DhunDe hain mohabbat ke fasane DhunDe
KHair ye jaan amanat thi so jaani thi kabhi
kya se kya us ne bhi khone ke bahane DhunDe
us ke pahlu mein hain to rain-basera kar len
nit nae kaun kahan roz Thikane DhunDe
aaj phir main ne kitabon se mahak pai hai
aaj phir main ne kahin phul purane DhunDe
aae zanu mein to sar dhar diya us ke aage
soi pahlu mein to bazu ke sirhane DhunDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.