kis tarah ye dil hua tum par fida likh jaunga
kis tarah ye dil huā tum par fidā likh jā.ūñgā
apnī peshānī pe apnī har ḳhatā likh jā.ūñgā
nek-nāmī aap kī qaa.em rahegī is tarah
aap ko ma.asūm maiñ ḳhud ko burā likh jā.ūñgā
lauh par mujh se ḳhudā likhvā.e gar merī razā
vo hamesha ḳhush raheñ maiñ ye duā likh jā.ūñgā
tajraba jis se mire dil ne bahut paayā surūr
dekhnā un kī hayā kī intihā likh jā.ūñgā
maiñ vasiyyat meñ lahad apnī sajāne ke liye
ho kafan merā faqat un kī ridā likh jā.ūñgā
kis tarah ye dil hua tum par fida likh jaunga
apni peshani pe apni har KHata likh jaunga
nek-nami aap ki qaem rahegi is tarah
aap ko masum main KHud ko bura likh jaunga
lauh par mujh se KHuda likhwae gar meri raza
wo hamesha KHush rahen main ye dua likh jaunga
tajraba jis se mere dil ne bahut paya surur
dekhna un ki haya ki intiha likh jaunga
main wasiyyat mein lahad apni sajaane ke liye
ho kafan mera faqat un ki rida likh jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.