kis tarah zaḳhmī kiyā tum ne nigāh-e-nāz se
raat bhar royā kiyā dil dard kī āvāz se
mere dil ko tum ne chheḌā kuchh ajab andāz se
rang-e-mahfil baḌh gayā us saaz kī āvāz se
dekhte haiñ vo ruḳh-e-bīmār is andāz se
dil dhaḌaktā hai shikast-e-rang kī āvāz se
sāmne aa koī kah de is qadar andāz se
dekh dil baḌhte haiñ tere tiir kī āvāz se
aaj ye rāh-e-junūñ meñ kis ne rakkhā hai qadam
hil gayā saarā jahāñ zanjīr kī āvāz se
be-parī se rah ga.ī bulbul kī saarī aarzū
dar qafas ke vā haiñ aur majbūr hai parvāz se
is qadar sadma huā rang-e-gulistāñ uḌ gayā
par-shikasta bulbuloñ kī hasrat-e-parvāz se
dekh kar jalva bhalā kyā hosh meñ rahte kalīm
dil to TukḌe ho chukā thā ik na.ī āvāz se
dekhnā hai is muhim meñ kis tarah kartā hai sabr
imtihāñ dil kā vo leñge paañv kī āvāz se
maut kī hai niiñd sote haiñ shahīdān-e-vafā
tū sadā de jaag uTheñ shāyad tirī āvāz se
bazm meñ un kī gayā dil 'nāsirī' maiñ bhī sunūñ
aaj karte haiñ jo bāteñ vo mire hamrāz se
kis tarah zaKHmi kiya tum ne nigah-e-naz se
raat bhar roya kiya dil dard ki aawaz se
mere dil ko tum ne chheDa kuchh ajab andaz se
rang-e-mahfil baDh gaya us saz ki aawaz se
dekhte hain wo ruKH-e-bimar is andaz se
dil dhaDakta hai shikast-e-rang ki aawaz se
samne aa koi kah de is qadar andaz se
dekh dil baDhte hain tere tir ki aawaz se
aaj ye rah-e-junun mein kis ne rakkha hai qadam
hil gaya sara jahan zanjir ki aawaz se
be-pari se rah gai bulbul ki sari aarzu
dar qafas ke wa hain aur majbur hai parwaz se
is qadar sadma hua rang-e-gulistan uD gaya
par-shikasta bulbulon ki hasrat-e-parwaz se
dekh kar jalwa bhala kya hosh mein rahte kalim
dil to TukDe ho chuka tha ek nai aawaz se
dekhna hai is muhim mein kis tarah karta hai sabr
imtihan dil ka wo lenge panw ki aawaz se
maut ki hai nind sote hain shahidan-e-wafa
tu sada de jag uThen shayad teri aawaz se
bazm mein un ki gaya dil 'nasiri' main bhi sunun
aaj karte hain jo baaten wo mere hamraaz se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.