kis tarah zauq-e-be-KHudi jage
kis tarah zauq-e-be-ḳhudī jaage
maut so.e to zindagī jaage
ham pe ehsān-e-ahl-e-hosh nahīñ
jab bhī jaage haiñ aap hī jaage
haañ vo jī bhar ke dushmanī kar leñ
kyā ajab yuuñ hī dostī jaage
dekho nādāniyāñ hī kaam aa.iiñ
āḳhir andāz-e-āgahī jaage
is liye hādsāt aate haiñ
ḳhvāb-e-ġhaflat se aadmī jaage
fikr-e-fardā na ho jo 'āshufta'
nahīñ mumkin ki aadmī jaage
kis tarah zauq-e-be-KHudi jage
maut soe to zindagi jage
hum pe ehsan-e-ahl-e-hosh nahin
jab bhi jage hain aap hi jage
han wo ji bhar ke dushmani kar len
kya ajab yun hi dosti jage
dekho nadaniyan hi kaam aain
aaKHir andaz-e-agahi jage
is liye hadsat aate hain
KHwab-e-ghaflat se aadmi jage
fikr-e-farda na ho jo 'ashufta'
nahin mumkin ki aadmi jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.