kis tayaqqun talak gae hum log
kis tayaqqun talak ga.e ham log
phir bhī ai dil bhaTak ga.e ham log
misl-e-dariyā milī thī sairābī
misl-e-sāhil bilak ga.e ham log
yūñhī ik din safar kiyā āġhāz
yūñhī ik roz thak ga.e ham log
ehtimāman hue the ham-āġhosh
ehtiyātan bahak ga.e ham log
ek ḳhushbū chaman meñ laa.ī thī
aur sahrā talak ga.e ham log
nuur thā yā vo ik badan thā 'samīr'
us ko chhū kar chamak ga.e ham log
kis tayaqqun talak gae hum log
phir bhi ai dil bhaTak gae hum log
misl-e-dariya mili thi sairabi
misl-e-sahil bilak gae hum log
yunhi ek din safar kiya aaghaz
yunhi ek roz thak gae hum log
ehtimaman hue the ham-aghosh
ehtiyatan bahak gae hum log
ek KHushbu chaman mein lai thi
aur sahra talak gae hum log
nur tha ya wo ek badan tha 'samir'
us ko chhu kar chamak gae hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.