kise apna kahen hum kaun hai aaKHir yahan apna
kise apnā kaheñ ham kaun hai āḳhir yahāñ apnā
na ahl-e-kārvāñ apne na mīr-e-kārvāñ apnā
sunā.eñge usī ko qissa-e-dard-e-nihāñ apnā
vahī hai mehrbāñ apnā vahī hai rāz-dāñ apnā
na ab luTne kā andesha na kuchh parvāh manzil kī
ki ham tere havāle kar chuke haiñ kārvāñ apnā
bahār-e-jāvedāñ us sar-zamīñ kā tauf kartī hai
tire dīvāne Derā Daal dete haiñ jahāñ apnā
tamanna hai tumhāre paañv ke nīche rahūñ har dam
banā lo tum kabhī mujh ko bhī sang-e-āstāñ apnā
ham apnī jaan de deñge gulistāñ ko na chhoḌeñge
hameñ to jaan se pyārā hai 'nayyar' gulsitāñ apnā
kise apna kahen hum kaun hai aaKHir yahan apna
na ahl-e-karwan apne na mir-e-karwan apna
sunaenge usi ko qissa-e-dard-e-nihan apna
wahi hai mehrban apna wahi hai raaz-dan apna
na ab luTne ka andesha na kuchh parwah manzil ki
ki hum tere hawale kar chuke hain karwan apna
bahaar-e-jawedan us sar-zamin ka tauf karti hai
tere diwane Dera Dal dete hain jahan apna
tamanna hai tumhaare panw ke niche rahun har dam
bana lo tum kabhi mujh ko bhi sang-e-astan apna
hum apni jaan de denge gulistan ko na chhoDenge
hamein to jaan se pyara hai 'nayyar' gulsitan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.