kise bulana tha aur kis ke pas jaana tha
kise bulānā thā aur kis ke paas jaanā thā
safar kā shauq thā so rāsta banānā thā
tumhāre dil meñ koī der ham ruke to khulā
tumhāre dil meñ kisī aur kā Thikāna thā
tujhe to bhuul bhī sakte the umr bhar ke liye
ye bebasī to mohabbat kā shāḳhsāna thā
hameñ to āḳhirī cigarette ke āḳhirī kash tak
ḳhayāl-e-yār kī chādar meñ sar chhupānā thā
tumhāre haath meñ tasvīr thī purānī sī
hamāre sāmne guzrā huā zamāna thā
bahāl kis tarah raunaq ho ujḌe āñgan kī
tamām log the ghar meñ to āshiyāna thā
kise bulana tha aur kis ke pas jaana tha
safar ka shauq tha so rasta banana tha
tumhaare dil mein koi der hum ruke to khula
tumhaare dil mein kisi aur ka Thikana tha
tujhe to bhul bhi sakte the umr bhar ke liye
ye bebasi to mohabbat ka shaKHsana tha
hamein to aaKHiri cigarette ke aaKHiri kash tak
KHayal-e-yar ki chadar mein sar chhupana tha
tumhaare hath mein taswir thi purani si
hamare samne guzra hua zamana tha
bahaal kis tarah raunaq ho ujDe aangan ki
tamam log the ghar mein to aashiyana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.