kise gharaz hai ki ab dhup se bachae mujhe
kise gharaz hai ki ab dhup se bachae mujhe
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
MORE BYRajeev Riyaz Pratapgarhi
kise ġharaz hai ki ab dhuup se bachā.e mujhe
har ek moḌ pe baabū jī yaad aa.e mujhe
ye kaun log haiñ jo rakh diye badan girvī
ye kaun log haiñ lagte haiñ apne saa.e mujhe
ab is ke aage binā rāstoñ ke jaanā hai
ab is ke aage koī rāsta batā.e mujhe
mujhe sulagte hue ho ga.ī hai ik muddat
kahīñ se koī havā aa.e aur jalā.e mujhe
usī ne mujh ko likhā thā ḳhud apne dāman par
kuchh aur likhnā hai us ko to phir miTā.e mujhe
kise gharaz hai ki ab dhup se bachae mujhe
har ek moD pe babu ji yaad aae mujhe
ye kaun log hain jo rakh diye badan girwi
ye kaun log hain lagte hain apne sae mujhe
ab is ke aage bina raston ke jaana hai
ab is ke aage koi rasta batae mujhe
mujhe sulagte hue ho gai hai ek muddat
kahin se koi hawa aae aur jalae mujhe
usi ne mujh ko likha tha KHud apne daman par
kuchh aur likhna hai us ko to phir miTae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.