kise hai fikr ki rang apna uD gaya kitna
kise hai fikr ki rang apnā uḌ gayā kitnā
ki pattharoñ se thā shīshe kā fāsla kitnā
simaT ke log guphāoñ meñ ho ga.e mahbūs
ḳhud apne ḳhuun kā lete bhī zā.iqa kitnā
safar tamām huā aur ye nahīñ ma.alūm
hamārī zaat se ham tak hai fāsla kitnā
na koī naqsh-e-qadam hai na koī hangāma
badal gayā hai tire ghar kā rāsta kitnā
ġhubār thā maiñ havā thī mire ta.āqub meñ
vo chāhtā bhī to mujh ko sameTtā kitnā
mirī nazar mujhe pahchānñe se qāsir hai
maiñ apnī zaat ke andar samā gayā kitnā
safar-guzār parindo mirī ḳhabar rakhnā
mujhe ḳhabar nahīñ rakhnā hai fāsla kitnā
'ayāz' abhī nahīñ ubhre nuqūsh-e-jism tamām
abhī se ḳhud ko vo pahchānñe lagā kitnā
kise hai fikr ki rang apna uD gaya kitna
ki pattharon se tha shishe ka fasla kitna
simaT ke log guphaon mein ho gae mahbus
KHud apne KHun ka lete bhi zaiqa kitna
safar tamam hua aur ye nahin malum
hamari zat se hum tak hai fasla kitna
na koi naqsh-e-qadam hai na koi hangama
badal gaya hai tere ghar ka rasta kitna
ghubar tha main hawa thi mere taaqub mein
wo chahta bhi to mujh ko sameTta kitna
meri nazar mujhe pahchanne se qasir hai
main apni zat ke andar sama gaya kitna
safar-guzar parindo meri KHabar rakhna
mujhe KHabar nahin rakhna hai fasla kitna
'ayaz' abhi nahin ubhre nuqush-e-jism tamam
abhi se KHud ko wo pahchanne laga kitna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.