kise hai lauh-e-waqt par dawam sochte rahe
kise hai lauh-e-vaqt par davām sochte rahe
likhe hue the kaise kaise naam sochte rahe
rah-e-hayāt meñ rukā hai kaun kitnī der ko?
musāfiroñ kā vaqfa-e-qayām sochte rahe
kise ḳhabar hai jalva-gāh-e-yār tak pahuñchne ko
siyāh kitne paḌte haiñ maqām sochte rahe
ujaḌ ke dil basā nahīñ bichhaḌ ke vo milā nahīñ
azaab hai ki hijr sub.h-o-shām sochte rahe
abhī talak bashāratoñ kī guuñj hai ḳhayāl meñ
ye kaun ḳhvāb meñ thā ham-kalām sochte rahe
jo milā thā rāste meñ kyā batā.eñ kaun thaa?
vo yaad aa gayā to us kā naam sochte rahe
kuchh aise be-ḳhabar na the shikāriyoñ kī chaal se
jab aa ga.e tuyūr zer-e-dām sochte rahe
'rashīd' saarī umr isī ḳhayāl meñ guzar ga.ī
ki zālimoñ se leñge intiqām sochte rahe
kise hai lauh-e-waqt par dawam sochte rahe
likhe hue the kaise kaise nam sochte rahe
rah-e-hayat mein ruka hai kaun kitni der ko?
musafiron ka waqfa-e-qayam sochte rahe
kise KHabar hai jalwa-gah-e-yar tak pahunchne ko
siyah kitne paDte hain maqam sochte rahe
ujaD ke dil basa nahin bichhaD ke wo mila nahin
azab hai ki hijr subh-o-sham sochte rahe
abhi talak bashaaraton ki gunj hai KHayal mein
ye kaun KHwab mein tha ham-kalam sochte rahe
jo mila tha raste mein kya bataen kaun tha?
wo yaad aa gaya to us ka nam sochte rahe
kuchh aise be-KHabar na the shikariyon ki chaal se
jab aa gae tuyur zer-e-dam sochte rahe
'rashid' sari umr isi KHayal mein guzar gai
ki zalimon se lenge intiqam sochte rahe
- Book : Pakistani Adab (Pg. 481)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.