kise nadan samjhane gae hain
kise nādān samjhāne ga.e haiñ
'vasī' sāhib to maiḳhāne ga.e haiñ
jo patthar hai yahāñ kā surḳh-rū hai
inhīñ rāhoñ se dīvāne ga.e haiñ
vafā-keshī rivāyat ban chukī hai
vo ab kis par sitam Dhāne ga.e haiñ
samundar par rahā jin kā tasarruf
vahī pyāsoñ ko bahlāne ga.e haiñ
'vasī' pahuñchā na bazm-e-gul-ruḳhāñ tak
sunā hai us ke afsāne ga.e haiñ
kise nadan samjhane gae hain
'wasi' sahib to maiKHane gae hain
jo patthar hai yahan ka surKH-ru hai
inhin rahon se diwane gae hain
wafa-keshi riwayat ban chuki hai
wo ab kis par sitam Dhane gae hain
samundar par raha jin ka tasarruf
wahi pyason ko bahlane gae hain
'wasi' pahuncha na bazm-e-gul-ruKHan tak
suna hai us ke afsane gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.