kise uruj de kis ko zawal tu jaane
kise uruuj de kis ko zavāl tū jaane
hai kaun ham meñ baḌā bā-kamāl tū jaane
kahāñ tū apne abābīl bheje ai allāh
kahāñ pe taan de makḌī ke jaal tū jaane
maiñ chāhtā huuñ kahīñ aur maiñ na phailā.ūñ
hai tere sāmne dast-e-savāl tū jaane
idhar-udhar kī kamā.ī se maiñ karūñ parhez
kahāñ se aanā hai rizq-e-halāl tū jaane
maiñ jaan luuñ bhī to bas jaan lūñgā bāhar se
har ek shaḳhs ke andar kā haal tū jaane
kise tū rakkhegā apne karam ke saa.e meñ
tujhe kab aa.egā kis par jalāl tū jaane
tamām samteñ bhī terī haiñ rāste bhī tire
kahāñ hai manzil-e-'shāhid-jamāl' tū jaane
kise uruj de kis ko zawal tu jaane
hai kaun hum mein baDa ba-kamal tu jaane
kahan tu apne ababil bheje ai allah
kahan pe tan de makDi ke jal tu jaane
main chahta hun kahin aur main na phailaun
hai tere samne dast-e-sawal tu jaane
idhar-udhar ki kamai se main karun parhez
kahan se aana hai rizq-e-halal tu jaane
main jaan lun bhi to bas jaan lunga bahar se
har ek shaKHs ke andar ka haal tu jaane
kise tu rakkhega apne karam ke sae mein
tujhe kab aaega kis par jalal tu jaane
tamam samten bhi teri hain raste bhi tere
kahan hai manzil-e-'shahid-jamal' tu jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.