kisi aaseb-zada dil ki sada hai kya hai
kisī āseb-zada dil kī sadā hai kyā hai
ye mire saath samundar hai havā hai kyā hai
silvaTeñ ruuh kī aatī haiñ nazar jismoñ par
dil-e-nādāñ ye koī band-e-qabā hai kyā hai
us ke hamrāh bhī chalnā hai magar socho to
rāste meñ jo kahīñ chhūT gayā hai kyā hai
kaun is pal mirī tanhā.ī se hai ḳhauf-zada
yaar dekho to zarā phone bajā hai kyā hai
mere andar ye simaTtī huī duniyā dekho
jaan jāoge ki jo mujh se judā hai kyā hai
DhūñDe tū merī shah-e-rag meñ lahū kī surḳhī
ye jo in āñkhoñ meñ ik rañg bachā hai kyā hai
kisi aaseb-zada dil ki sada hai kya hai
ye mere sath samundar hai hawa hai kya hai
silwaTen ruh ki aati hain nazar jismon par
dil-e-nadan ye koi band-e-qaba hai kya hai
us ke hamrah bhi chalna hai magar socho to
raste mein jo kahin chhuT gaya hai kya hai
kaun is pal meri tanhai se hai KHauf-zada
yar dekho to zara phone baja hai kya hai
mere andar ye simaTti hui duniya dekho
jaan jaoge ki jo mujh se juda hai kya hai
DhunDe tu meri shah-e-rag mein lahu ki surKHi
ye jo in aankhon mein ek rang bacha hai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.