kisi baat pe ranj KHuda ki qasam na idhar se hua na udhar se hua
kisi baat pe ranj KHuda ki qasam na idhar se hua na udhar se hua
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
kisī baat pe ranj ḳhudā kī qasam na idhar se huā na udhar se huā
kisī tarah kā ranj-o-malāl baham na idhar se huā na udhar se huā
hue yaar to rāhi-e-mulk-e-adam yahāñ rote haiñ un ke firāq meñ ham
khule kyūñki ye haal ki haal raqam na idhar se huā na udhar se huā
mire un ke jo dil ko thā rabt baham ye ġhalat hai jo ġhair batāte haiñ kam
vahī rabt hai pahlā sā is meñ to kam na idhar se huā na udhar se huā
hameñ zabt kī ḳhū unheñ zulm kā Dhab ga.ī umr to apnī isī meñ hī sab
rahā ye hī mo.āmla chāra-e-ġham na idhar se huā na udhar se huā
kabhī dil ko jigar kā hai ranj-o-alam kabhī dil kā jigar ko hai sadma-e-ġham
rahā yuuñ hī judā ġham-o-ranj-o-alam na idhar se huā na udhar se huā
koī kahtā qadīm zamāne ko hai koī le gayā us ke hudūs pe pai
jo thā haqq-e-subūt-e-hudūs-o-qidam na idhar se huā na udhar se huā
yuuñ hī ham to sitam-kash-e-charḳh rahe isī haal meñ yaar ke zulm sahe
kabhī 'aish' kam aah ye zulm-o-sitam na idhar se huā na udhar se huā
kisi baat pe ranj KHuda ki qasam na idhar se hua na udhar se hua
kisi tarah ka ranj-o-malal baham na idhar se hua na udhar se hua
hue yar to rahi-e-mulk-e-adam yahan rote hain un ke firaq mein hum
khule kyunki ye haal ki haal raqam na idhar se hua na udhar se hua
mere un ke jo dil ko tha rabt baham ye ghalat hai jo ghair batate hain kam
wahi rabt hai pahla sa is mein to kam na idhar se hua na udhar se hua
hamein zabt ki KHu unhen zulm ka Dhab gai umr to apni isi mein hi sab
raha ye hi moamla chaara-e-gham na idhar se hua na udhar se hua
kabhi dil ko jigar ka hai ranj-o-alam kabhi dil ka jigar ko hai sadma-e-gham
raha yun hi juda gham-o-ranj-o-alam na idhar se hua na udhar se hua
koi kahta qadim zamane ko hai koi le gaya us ke hudus pe pai
jo tha haqq-e-subut-e-hudus-o-qidam na idhar se hua na udhar se hua
yun hi hum to sitam-kash-e-charKH rahe isi haal mein yar ke zulm sahe
kabhi 'aish' kam aah ye zulm-o-sitam na idhar se hua na udhar se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.