kisi badan ki sair ke junun mein ghazal hui
kisī badan kī sair ke junūn meñ ġhazal huī
na koī shor thā na shar sukūn meñ ġhazal huī
ka.ī lazīz qāfiye the aur badan radīf thā
zabāñ ne zā.iqa chakhā shugūn meñ ġhazal huī
na.e badan ke bādbāñ khule to rāsta khulā
ye pahlī baar rang-e-neptune meñ ġhazal huī
diloñ ko jītnā thā maiñ ne jang jītne ke baa'd
darūn-e-jang mujh se kusht-o-ḳhūn meñ ġhazal huī
shu'ūr-e-zindagī nahīñ hai she'r kī samajh to hai
kabhī umiid par kabhī junūn meñ ġhazal huī
kisi badan ki sair ke junun mein ghazal hui
na koi shor tha na shar sukun mein ghazal hui
kai laziz qafiye the aur badan radif tha
zaban ne zaiqa chakha shugun mein ghazal hui
nae badan ke baadban khule to rasta khula
ye pahli bar rang-e-neptune mein ghazal hui
dilon ko jitna tha main ne jang jitne ke ba'd
darun-e-jang mujh se kusht-o-KHun mein ghazal hui
shu'ur-e-zindagi nahin hai she'r ki samajh to hai
kabhi umid par kabhi junun mein ghazal hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.