kisi bhanwar ke ghumaw mein aa saka hi nahin
kisī bhañvar ke ghumāv meñ aa sakā hī nahīñ
tirā 'hasīb' samundar kī maar thā hī nahīñ
hamāre shahr meñ sahrā bhī hai pahāḌī bhī
so is ko chhoḌ ke jaane kā man kiyā hī nahīñ
tumhāre sadqe qabīle kā ḳhuuñ muaaf kiyā
jo rājputoñ ne badla vahāñ liyā hī nahīñ
ki baar baar use chaak hī to karnā thā
so apnā chāk-e-garebāñ kabhī siyā hī nahīñ
hamāre sher kisī ajnabī ko yaad hue
hamāre yaar ne pursa kabhī diyā hī nahīñ
kisi bhanwar ke ghumaw mein aa saka hi nahin
tera 'hasib' samundar ki mar tha hi nahin
hamare shahr mein sahra bhi hai pahaDi bhi
so is ko chhoD ke jaane ka man kiya hi nahin
tumhaare sadqe qabile ka KHun muaf kiya
jo rajputon ne badla wahan liya hi nahin
ki bar bar use chaak hi to karna tha
so apna chaak-e-gareban kabhi siya hi nahin
hamare sher kisi ajnabi ko yaad hue
hamare yar ne pursa kabhi diya hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.