kisi bhi ajnabi se dil laga kar kya karenge hum
kisī bhī ajnabī se dil lagā kar kyā kareñge ham
ki ab ujḌe chaman meñ gul khilā kar kyā kareñge ham
haiñ ham TuuTe hue patte hameñ in mausamoñ se kyā
ḳhizāñ ke daur meñ bārish bulā kar kyā kareñge ham
bachā paa.e na lahroñ se kināroñ par makāñ apne
safīne phir samundar meñ chalā kar kyā kareñge ham
mohabbat meñ bahut puujā hai ham ne ek patthar ko
bhalā ab shīsh mandir meñ jhukā kar kyā kareñge ham
‘parastish’ 'ishq kā anjām jab mā'lūm hai ham ko
sunahre ḳhvāb āñkhoñ meñ sajā kar kyā kareñge ham
kisi bhi ajnabi se dil laga kar kya karenge hum
ki ab ujDe chaman mein gul khila kar kya karenge hum
hain hum TuTe hue patte hamein in mausamon se kya
KHizan ke daur mein barish bula kar kya karenge hum
bacha pae na lahron se kinaron par makan apne
safine phir samundar mein chala kar kya karenge hum
mohabbat mein bahut puja hai hum ne ek patthar ko
bhala ab shish mandir mein jhuka kar kya karenge hum
‘parastish’ 'ishq ka anjam jab ma'lum hai hum ko
sunahre KHwab aankhon mein saja kar kya karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.