kisi bhi KHwab mein jab dilkashi baqi nahin rahti
kisī bhī ḳhvāb meñ jab dilkashī baaqī nahīñ rahtī
to phir jazbāt meñ vo baat hī baaqī nahīñ rahtī
guzar to ho hī jaatī hai sañbhal kar chalne vāloñ kī
magar phir zindagī meñ zindagī baaqī nahīñ rahtī
tumheñ achchhī nahīñ lagtīñ mirī be-bākiyāñ lekin
takalluf meñ bhī aksar dostī baaqī nahīñ rahtī
javānī meñ bhalā kaise kareñ ham hosh kī bāteñ
ki aisī be-ḳhudī meñ āgahī baaqī nahīñ rahtī
haTāo sāġhar-o-mīnā nahīñ mai kī talab mujh ko
hasīñ āñkhoñ se pī kar tishnagī baaqī nahīñ rahtī
kisi bhi KHwab mein jab dilkashi baqi nahin rahti
to phir jazbaat mein wo baat hi baqi nahin rahti
guzar to ho hi jati hai sanbhal kar chalne walon ki
magar phir zindagi mein zindagi baqi nahin rahti
tumhein achchhi nahin lagtin meri be-bakiyan lekin
takalluf mein bhi aksar dosti baqi nahin rahti
jawani mein bhala kaise karen hum hosh ki baaten
ki aisi be-KHudi mein aagahi baqi nahin rahti
haTao saghar-o-mina nahin mai ki talab mujh ko
hasin aankhon se pi kar tishnagi baqi nahin rahti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.