kisi bhi lamha ghamon se najat hai hi nahin
kisī bhī lamha ġhamoñ se najāt hai hī nahīñ
hayāt kahte haiñ jis ko hayāt hai hī nahīñ
talāsh kījiye apnoñ meñ kaun qātil hai
hamāre qatl meñ ġhairoñ kā haath hai hī nahīñ
na chāñd taare na jugnū na chāñdnī kī qabā
maiñ raat kahtā huuñ jis ko vo raat hai hī nahīñ
mujhe to zahr hī piinā hai har zamāne meñ
mire nasīb meñ āb-e-hayāt hai hī nahīñ
sar-e-salīb jo maiñ hañs rahā huuñ kyoñ na hañsūñ
ḳhushī kā lamha hai ye ġham kī baat hai hī nahīñ
har ek samt tirā nuur hai jidhar dekhūñ
mire vajūd meñ merī to zaat hai hī nahīñ
hazāroñ log mile pyaar karne vaale hameñ
magar kisī meñ tumhārī sī baat hai hī nahīñ
vo mere paas hai phir bhī bahut akelā huuñ
maiñ us ke saath huuñ vo mere saath hai hī nahīñ
maiñ kyoñ udaas huuñ mat pūchiyegā is kā sabab
ajiib baat hai ki koī baat hai hī nahīñ
hamāre ishq meñ shāmil havas kahāñ thī miyāñ
hamāre ishq kī ye vārdāt hai hī nahīñ
kisi bhi lamha ghamon se najat hai hi nahin
hayat kahte hain jis ko hayat hai hi nahin
talash kijiye apnon mein kaun qatil hai
hamare qatl mein ghairon ka hath hai hi nahin
na chand tare na jugnu na chandni ki qaba
main raat kahta hun jis ko wo raat hai hi nahin
mujhe to zahr hi pina hai har zamane mein
mere nasib mein aab-e-hayat hai hi nahin
sar-e-salib jo main hans raha hun kyon na hansun
KHushi ka lamha hai ye gham ki baat hai hi nahin
har ek samt tera nur hai jidhar dekhun
mere wajud mein meri to zat hai hi nahin
hazaron log mile pyar karne wale hamein
magar kisi mein tumhaari si baat hai hi nahin
wo mere pas hai phir bhi bahut akela hun
main us ke sath hun wo mere sath hai hi nahin
main kyon udas hun mat puchiyega is ka sabab
ajib baat hai ki koi baat hai hi nahin
hamare ishq mein shamil hawas kahan thi miyan
hamare ishq ki ye wardat hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.