kisi bhi raushan KHayal se aashna nahin hai
kisī bhī raushan ḳhayāl se āshnā nahīñ hai
jo aap apne jamāl se āshnā nahīñ hai
use ḳhayāloñ meñ jaisā chāhūñ tarāsh lūñgā
abhī nazar ḳhadd-o-ḳhāl se āshnā nahīñ hai
abhī to da.avā hai us ko mushkil-pasandiyoñ kā
abhī vo kār-e-muhāl se āshnā nahīñ hai
abhī to miTTī mahak uThī hai namī ko pā kar
abhī vo paanī kī chaal se āshnā nahīñ hai
mizāj haavī rahā hamesha zarūratoñ par
faqīr harf-e-savāl se āshnā nahīñ hai
ġhazal barā.e ġhazal hai terī 'nadīm' abhī tū
ġhazal ke husn-o-jamāl se āshnā nahīñ hai
kisi bhi raushan KHayal se aashna nahin hai
jo aap apne jamal se aashna nahin hai
use KHayalon mein jaisa chahun tarash lunga
abhi nazar KHadd-o-KHal se aashna nahin hai
abhi to dawa hai us ko mushkil-pasandiyon ka
abhi wo kar-e-muhaal se aashna nahin hai
abhi to miTTi mahak uThi hai nami ko pa kar
abhi wo pani ki chaal se aashna nahin hai
mizaj hawi raha hamesha zaruraton par
faqir harf-e-sawal se aashna nahin hai
ghazal barae ghazal hai teri 'nadim' abhi tu
ghazal ke husn-o-jamal se aashna nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.