kisi bhi samt niklun mera pichha roz hota hai
kisi bhi samt niklun mera pichha roz hota hai
Bharat Bhushan Pant
MORE BYBharat Bhushan Pant
kisī bhī samt niklūñ merā pīchhā roz hotā hai
ta.āqub meñ koī gumnām saaya roz hotā hai
kisī ik moḌ par har roz mujh ko mil hī jaatī hai
ta.āruf zindagī se ġhā.ebāna roz hotā hai
maiñ ik anjān manzil ke safar par jab nikaltā huuñ
tasavvur meñ koī mānūs chehra roz hotā hai
yahī tanhā.iyāñ haiñ jo mujhe tujh se milātī haiñ
inhīñ ḳhāmoshiyoñ se terā charchā roz hotā hai
ye ik ehsās hai aisā kisī se kah nahīñ saktā
tirī maujūdgī kā ghar meñ dhokā roz hotā hai
shajar bechārgī se dekhtā hai is tamāshā ko
judā shāḳhoñ se us kī koī pattā roz hotā hai
maiñ apne-āp par bhī ḳhud ko zāhir kar nahīñ saktā
mire ehsās par ik saḳht pahra roz hotā hai
ye manzar dekh kar hairān rah jaatī haiñ maujeñ bhī
yahāñ sāhil pe ik TuuTā gharauñdā roz hotā hai
bahut din se in āñkhoñ ko yahī samjhā rahā huuñ maiñ
ye duniyā hai yahāñ to ik tamāsha roz hotā hai
maiñ ik kirdār kī sūrat ka.ī partoñ meñ jiitā huuñ
mirī be-chehragī kā ek chehra roz hotā hai
kisi bhi samt niklun mera pichha roz hota hai
taaqub mein koi gumnam saya roz hota hai
kisi ek moD par har roz mujh ko mil hi jati hai
taaruf zindagi se ghaebana roz hota hai
main ek anjaan manzil ke safar par jab nikalta hun
tasawwur mein koi manus chehra roz hota hai
yahi tanhaiyan hain jo mujhe tujh se milati hain
inhin KHamoshiyon se tera charcha roz hota hai
ye ek ehsas hai aisa kisi se kah nahin sakta
teri maujudgi ka ghar mein dhoka roz hota hai
shajar bechaargi se dekhta hai is tamasha ko
juda shaKHon se us ki koi patta roz hota hai
main apne-ap par bhi KHud ko zahir kar nahin sakta
mere ehsas par ek saKHt pahra roz hota hai
ye manzar dekh kar hairan rah jati hain maujen bhi
yahan sahil pe ek TuTa gharaunda roz hota hai
bahut din se in aankhon ko yahi samjha raha hun main
ye duniya hai yahan to ek tamasha roz hota hai
main ek kirdar ki surat kai parton mein jita hun
meri be-chehragi ka ek chehra roz hota hai
- Book : Bechehragi (Pg. 35)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.