kisi bhi shai mein nahin mil raha qarar mujhe
kisī bhī shai meñ nahīñ mil rahā qarār mujhe
chaḌhā hai jab se tire pyaar kā ḳhumār mujhe
mirī chamak meñ kamī aa ga.ī hai vaqt ke saath
kisī sunār kī bhaTTī se phir guzār mujhe
hamesha lauT ke aatī hai pahle nuqte par
kabhī to mil sake us raah se farār mujhe
mujhe to bhej de vāpas mire jahāñ kī taraf
zamīñ ke log to karte nahīñ shumār mujhe
maiñ tujh ko DhūñD ke lā.ūñgā apnī duniyā meñ
tū ek baar kisī samt se pukār mujhe
jahāñ khaḌā huuñ vahīñ se ḳhazāna niklegā
zamīñ ke nīche chhupe ġhaar meñ utaar mujhe
kisi bhi shai mein nahin mil raha qarar mujhe
chaDha hai jab se tere pyar ka KHumar mujhe
meri chamak mein kami aa gai hai waqt ke sath
kisi sunar ki bhaTTi se phir guzar mujhe
hamesha lauT ke aati hai pahle nuqte par
kabhi to mil sake us rah se farar mujhe
mujhe to bhej de wapas mere jahan ki taraf
zamin ke log to karte nahin shumar mujhe
main tujh ko DhunD ke launga apni duniya mein
tu ek bar kisi samt se pukar mujhe
jahan khaDa hun wahin se KHazana niklega
zamin ke niche chhupe ghaar mein utar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.