kisi bhi shai na kisi bad-asar ka saya hai
kisī bhī shai na kisī bad-asar kā saayā hai
hamāre dil pe kisī kī nazar kā saayā hai
kuchh is liye bhī nahīñ ḳhatm ho rahā hai safar
hamāre sar pe kisī rahguzar kā saayā hai
kisī ke haath meñ Tahnī nahīñ bachī hai aur
kisī ke saath meñ puure shajar kā saayā hai
tabīb chhoḌ de tujh se na mundamil hoñge
hamāre zaḳhmoñ pe us chārāgar kā saayā hai
maiñ māntā huuñ ki mumkin hai bhuul jaanā bhī
magar ye saayā miyāñ umr bhar kā saayā hai
kisi bhi shai na kisi bad-asar ka saya hai
hamare dil pe kisi ki nazar ka saya hai
kuchh is liye bhi nahin KHatm ho raha hai safar
hamare sar pe kisi rahguzar ka saya hai
kisi ke hath mein Tahni nahin bachi hai aur
kisi ke sath mein pure shajar ka saya hai
tabib chhoD de tujh se na mundamil honge
hamare zaKHmon pe us chaaragar ka saya hai
main manta hun ki mumkin hai bhul jaana bhi
magar ye saya miyan umr bhar ka saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.