kisi bhi shaKHs se shikwa na ab gila rakkho
kisī bhī shaḳhs se shikva na ab gila rakkho
'ajīb din haiñ laboñ par faqat du'ā rakkho
ye vaqt pahle bhī aa kar guzar gayā ka.ī baar
guzartā jā.egā ye vaqt hausla rakkho
jo aaj aate haiñ aañsū to koī baat nahīñ
lahū bhī aa.egā āñkhoñ kā dar khulā rakkho
ye chhup na jaa.eñ phir ik baar āstīnoñ meñ
har ek ḳhanjar-e-qātil pe ik galā rakkho
tumhāre qatl pe mātam bhī ab nahīñ hogā
tum ab ye āḳhirī ummīd bhī uThā rakkho
tabhī to kahte the tā’dād kuchh nahīñ hotī
tabhī to kahte the zehnoñ meñ karbalā rakkho
havā ke sāmne rakkhī havā to kyā hāsil
na.e charāġh jalāo na.ī ziyā rakkho
kisi bhi shaKHs se shikwa na ab gila rakkho
'ajib din hain labon par faqat du'a rakkho
ye waqt pahle bhi aa kar guzar gaya kai bar
guzarta jaega ye waqt hausla rakkho
jo aaj aate hain aansu to koi baat nahin
lahu bhi aaega aankhon ka dar khula rakkho
ye chhup na jaen phir ek bar aastinon mein
har ek KHanjar-e-qatil pe ek gala rakkho
tumhaare qatl pe matam bhi ab nahin hoga
tum ab ye aaKHiri ummid bhi uTha rakkho
tabhi to kahte the ta’dad kuchh nahin hoti
tabhi to kahte the zehnon mein karbala rakkho
hawa ke samne rakkhi hawa to kya hasil
nae charagh jalao nai ziya rakkho
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 82)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.