kisi bhi tarh nahin tumko bhulne ka hai
kisī bhī tarh nahīñ tum ko bhūlne kā hai
zarā sā dil hai magar kitnā be-kahe kā hai
vo lahr aatī hai jaatī hai ek lamhe meñ
phir us ke baa'd hai jo kuchh vo sochne kā hai
bachāne vaalā bhī koī nahīñ kināre par
nadī ke saath yahī vaqt Dūbne kā hai
tumhārī āñkhoñ meñ Thahrā huā hai jo manzar
nayā nahīñ hai magar phir bhī dekhne kā hai
bahut qarīb se har baar dekhtā huuñ use
magar savāl vahī thoḌe fāsle kā hai
guzishta raat zarā sā jo ham meñ baaqī thā
yahīñ kahīñ pe vo rishta bhī TūTne kā hai
bahut sañbhal ke na chaliye ki hādsa hī na ho
'shakīl' girnā bhī dastūr rāste kā hai
kisi bhi tarh nahin tum ko bhulne ka hai
zara sa dil hai magar kitna be-kahe ka hai
wo lahr aati hai jati hai ek lamhe mein
phir us ke ba'd hai jo kuchh wo sochne ka hai
bachane wala bhi koi nahin kinare par
nadi ke sath yahi waqt Dubne ka hai
tumhaari aankhon mein Thahra hua hai jo manzar
naya nahin hai magar phir bhi dekhne ka hai
bahut qarib se har bar dekhta hun use
magar sawal wahi thoDe fasle ka hai
guzishta raat zara sa jo hum mein baqi tha
yahin kahin pe wo rishta bhi TuTne ka hai
bahut sanbhal ke na chaliye ki hadsa hi na ho
'shakil' girna bhi dastur raste ka hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 97)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.